नमाज़ के मसाइल सीखें।

0
3053

Jin kamo ya bato se namaz fasid ho jati hai unhe mufsidat-e-namaz kaha jata hai. Agar ayesi galti ho jaye to namaz dobara padhni padegi, sajda-e-sahu karne se sahi nahi hogi.

1. Namaz mai kisi tarah baat karne, bolne se namaz fasid ho jati, bhul se bole ya jaan bujh kar. Kam bole ye jayeda, har haal mai namaz tut jayegi.

2. Namaz mai kisi ko salam karne ya salam ka jawab dene mai namaz tut jati hai.

3. 4-rakat ke niyat se namaz padh rahe they, 2-rakat puri hone par yah soch kar salam fher liya ki 2-rakat ki niyat se padh raha thha, namaz tut gayi.

4. Kisi ko chhik ayi, ussne allhamdolillah kaha. Namazi ne uske jawab mai yarhamukallah kah diya to namaz tut gayi.

5. Namaz ki halat mai agar chhik agayi to allhamdolillah na kahe.

6. Namaz ki halat mai koi khushi ki khabar soni aur Allhamdolillah kah diya, ya koi gam ki khabar suni to innalillah padh diya, to namaz tut gayi.

7. Namaz ki halat mai Allah sunkar jall-jalalhu ya huzur ka naam sun kar Sallallaho-alye-wa-sallam kah diya to bhi namaz jati rahi.

8. Kisi bhi wazaha se ya kuch sunkar achanak zaban se nikal aya – ARE, HAA to bhi namaz tut gayi.

9. Imam ko muktadi ke alawa kisi aur dusre ka lukma lena zayez nahi. Jayese imam shahab se koi bhul ho gayi. Ek adimi jo ja-amat mai sharik nahi thha, ussne lukma de diya aur imam shahab ne lukma le liya to namaz tut gayi.


10. Namaz ki halat mai agar kisi wajahe se zaban se – AAH, OH, HAY, UFF, TUF, wagayera jayese alfaz nikal gaye to namaz tut jati hai.

11. Chhik ane, khashne, jamayi lene aur dakaar lene mai jitney huruf zabar se nikalte hai wah mazburan nikate hai is liye maaf hai, namaz nahi tutti hai.

12. Namaz mai quran sharif dekh kar padhne se bhi namaz fasid ho jati hai. Issi tarah koi dusri chhig bhi padhne se bhi namaz tut jati hai.

13. Namaz mai itni awaz se hasa ki paas wale namazi ko sunayi diya to namaz tut gayi aru wazu bhi jata raha. Aur agar paas wale ne nahi suni to namaz to jati rahi lekin wazu nahi tuta.

14. Agar kisi wazah se ya zarorat se khikharne, gala saaf karne ki wazah se gale se- UHH, AKH ki awaz nikal aye to namaz nahi tutati aur agar bila wazah gala saaf karne ke liye khikhara to namaz tut jayegi.